Last friday mai or mera dost office se namaz k lye nikly , hm wahan mamool se pehly puhunch gaey thy to kuch khutba bhi sunny ko mil gaya , masjid mery maslaque ki thi or mera dost gair masalque ka tha , khutba chal rha tha or Allama sahab bht josh mai dosry firqon ko nishana banaey hoey thy ,
Mai ne apny dost ki traf dekha to us k chehry p gussy ki jhalak dikh rahi thi or wo haqarat se Allama sahab ko daikh raha tha , Namaz adaaa kar k hm bahir aye to us ne mjhy se kaha k,
"Khutba to nahi tha yeh, Allama sahab to faisla suna rahy thy k kon jannat mai jaye ga , jesy jannat ki thaiky dari un k hath main hai"
Us ka yeh kehna tha or hamari behas shoro hogaiei , itna ilm nahi tha hm dono k pas k hm kisi sahi nateejy par pouhunchty, Bsss behas karty rahy or dil mai narazgi le kar ghr chaly gaey ,,
Mai ghar agaya or mjhy sab yad a rha tha , phr m ne socha galti mery dost ki nahi hai blaky allama sahb ki hai. unki batain ikhlaqi aitbar se bilkul galat thin, wo hamain deen nahi sikha rhay thy blaky hamari trbiyat kar rhy thy k gair maslaque waly kafir hai ,hamain tayyar kar rhy thy k hamain jawab kesy deny hain , hamin bsss aik bat sikhaie ja rhai hai unhy kafir hi sabit karna hai,
Islam to aisy nahi phela hoga , Allah k Rasool (صلی اللہ علیہ وسلم) ne to kafiron ko bhi seeny s laga kar smjhaya tha , na k un se bughaz rakha or na hi kabhi un ki dil azari kari,, or yahan to kalma parhny waly hain sab , islam ko maanny waly hain,
Mai yeh nahi kehta k sary Moulana ya Allama hazraart aisy hain, Hamary lye bohat Muhzab hain, Magar ab Mimbaron per bethy hoey hazraat agar ksi per tanqeed karain ge to wo dawat kesy dain ge , kon many ga unki batain , kon samjhy ga unko , Log nafrat karain ge aik dosry s or musalman musalman wali be maieny reh jaye gi ,,
Gair muslim to doar hai jo apny hain wohi ikhtlafat main hain, Ikhlaaq ko khatam kar k dilon par hukoomat nahi ho sakti kabhi nahi ki ja sakti,
Kia hum waqie muslman hai or aik musalman ki trbiyat ye to nahi ho sakti.
Firqa Bandi Hai Or Kahin Zaatain Hain
Kiya Zamany Mai Panapny Ki Yahi Batain Hain
(IQBAL)
No comments:
Post a Comment